Gazal , Urdu Shayeri, Poetries Etc.

GAZALS .............. URDU SHAYERI.......... Shayeri...........Poetries................HAMD.............NAAT...............AFSAANE... Etc.

Saturday, 3 August 2013

Arif Info

Aaj Mai Aapne Gaon Jarha Hun New Delhi Se  Hajipur (Bihar)


Ramzan ki Fazeelat - Roza Aftar Krnay ki Fazeelat - Ramadan k Fawaid


  • Ramzan ki Fazeelat
  • Ramzan ki Duain
  • Ramadn k Fazail
  • Ramadan Main krny k kaam
  • Roza Aftar krany ki Fazeelat

Maa Baap ki khidmat Ramzan ki Fazilat aur Durud ki Ehmiyat ...



        Jumua ka din tha huzur(sallallaho alaihe wasallam) kutba padhane k liye mimber par gaye jaise hi  kadam pehle sidhi par rakhe kaha ameen phir dusri jine par rakha kaha ameen phir tisre jine par rakha  kaha ameen.

       Sahaba ne dekha tajjub kiya par bolne ki himmat na hui namaj k baad
 sahaba ne arz ki fidaka ummi wa abi ya rasulallah(sallallaho alaihe wasallam)  (yani mere maa baap  aap (sallallaho alaihe wasallam) par qurbaan) aaj apko khilafe maamool ameen kehte hue suna jabki hamari ankho ne kisiko na dekha na suna jo dua maange.

     Huzur(sallallaho alaihe wasallam) ne farmaya jab mai khutbe k liye gaya to jibrail(alaihissalam) aaye aur kaha halaq ho barbaad ho wo shaqs jiske samne aap(sallallaho alaihe wasallam) ka zikr ho aur wo durud na padhe  maine kaha ameen.

   phir mai jab aage badha to jibrail(alaihissalam) ne kaha halaq ho barbaad ho wo shaqs  jo maahe ramadhan paaye aur isme roze aur digar ibaadat karke apne rab ko raaji na kara paaye maine kaha ameen.

  phir jibrail(alaihissalam) ne kaha  halaq ho barbaad ho wo shaqs jo apne
maa baap  ya kisi ek ko budhape me paaye aur unki khidmat karke apni magfirat  na kara sake  maine kaha ameen.

jo dua  jibrail(alaihissalam) kare aur uspar huzur(sallallaho alaihe wasallam)  ameen kahe to us dua ka kya muqam hai aap samajh sakte hai

isme tin baate batai gai hai maa baap ki khidmat ramjan ki fazilat aur durud ki ahmiyat  qurane paak me hai apne maa baap ke samne unh(uff) tak naa karo. aur aaj log maa baap ko gaaliya dete hai chillate hai

 hadise paak me hai  huzur(sallallaho alaihe wasallam) ne sahabi ko farmaya apne maa baap se husne suluk se pesh aa unhone kaha agar maa baap zaalim ho to  huzur(sallallaho alaihe wasallam) ne farmaya agarche zaalim ho agarche  zaalim ho agarche zaalim ho 3 baar farmaya aur aaj log maa baap ki zara si baat ka bura maan jaate hai baat band kar dete hai ghar chod dete hai zulm to bahut dur ki baat hai


Hazrat Ali ( (Radiallahu Ta’ala Anhu)) ne farmaya har wo din tumhare liye eid ka din hai jis din tum apni  se muskarake baat kare * apni awaz ka zor us maa baap par na dikha jisne tujhe bolna sikhaya.

Durood shareef

Qurane paak me hai allah farmata hai beshak allah aur uske firishte durud
 bhejte hai us gaib batane wale nabi par ae imaan walo tum bhi  khub durudo  salam bheja karo

Hadise paak me hai  Aap(sallallaho alaihe wasallam) ne irshhad farmaya
bakheel hai wo shaqs jiske samne mera zikr ho aur wo mujh par durud
na padhe durude paak ki bahut barkate hai fazilate hai sirf ek suniye

 Aap (sallallaho alaihe wasallam) ne farmaya jisne mujhpar 1 martaba
 durud padha allah taala uspar 10 rehmate naazil farmata hai uske 10
 darzaat buland karta hai uske das gunaah mitata hai.

Ghamo ne jo tumko ghera hai to durud padho  hai haziri ki tamanna to durud padho  ye naam koi kaam bigadne nahi deta

Bigde bhi bana deta hai naame muhammad(sallallaho alaihe wasallam)

Ankho ka taara naame muhammad(sallallaho alaihe wasallam)

Dil ka ujala naame muhammad(sallallaho alaihe wasallam)

Daulat jo chaho dono jahan ki karlo wazifa naame muhammad(sallallaho alaihe wasallam) 

Friday, 2 August 2013

Quran Ki Baatein

[1]Quran__
Kya tumne nahi pata ki aasmano aur zamin ki badshahi Allah ki hi hai aur Allah ke shiwa tumhara koi bhi himayati aur madad karne wala nahi hai.
(para-2, sureh-Al-bakra, ayet no. 106)
[2] Quran__
Jo log iman laye, aur hizrat ki aur Allah ki rah mai apne maal aur apni jano se jihad kiya Allah ke liye (unke liye) bada darza hai. Aur wahi hai jo murad (Qamiyabi hasil) wale hain. (Para-10, sureh-at-tawba, ayet no-20)
[3]Quran__
Jo koi akhirat ki kheti chahata hoga, ham usse uski kheti mai badhotri (Barkat) karege. Aur jo koi duniya ki kheti chahata hoga, usse usmai se dege aur uska akhirat mai koi hissa nahi. (para – 25, sureh – As-sura, ayet no – 20)
[4] Quran__
Apne rab (Allah) ki mano is se pahele ki Allah ki or se wah din aa jaye jo taalne wala nahi. Us din tumhare liye na koi panah ki jagah hogi aur na (Apni safayi mai) tum koi awaz utha sakoge. (Para – 25, Sureh – Assura, ayet no. 46)
[5] Quran__
To jis kisi ne sarkashi (badmashi) ki hogi aur duniya ki zindagi ko tarzeeh di (duniyayi zindagi ko pasand kar liya hoga) to beshakbhadakti aag hi thikana hai. (para – 30, sureh – an-naziyat, ayet no – 37-39)

Ramza Ki Batin

Is Mubarak mahine ki ahemiyat ka andaza ham ussi waqt laga sakege jab pichle 11 mahine ki apni zindagi ki raat-din par nazar dale. Ayesa karne par hi hame andaza ho sakega ki hmare din kaise bête, hame kya – kya gunah kiye. Gunaho ka khayal ate hi emaan ka takaza, hamara zameer andar se awaz dega ki aye gafir insaan! Apni nadani se tune pichle mahino mai jo gunah kiya hain, unki mafi wa bakhshish ki fikar kar. Isse sath hi jab Allah ki taraf se ramzan aur unki barkate rab ka ayehesan ban kar hame damane murad bharne ke liye awaz de to zara sochiye ki hamari ruhani masarrat ka kya haal hoga.
Ramzan ki fazilat ka nadaza lagane ki liye agar aap Quran wa sunnat ki rawshni mai kuch malom karne ki koishish kare to pata chalega ki yahi wah Mubarak mahina hai jismai Allah paak ne apne bando ki hidayat wa rahenumayi ki liye Quran paak nazil faramaya. Is Mubarak mahine mai Allah paak apni rahemat wa zannat ke darwaze khol deta hai, janannam ke darwaze band kar diye jate hain.
Yah Mubarak mahina roze ke liye khash hai. Har balik mard-awrat par ramzan ke pure mahine ka roza farz hai. Roze ke bare mai Allah ne farmaya – roze mere liye hain aur iska badla bhi mai hi ata karoga. Roze farz farmane ka maksad bayan farmate huwe Allah paak ne Quran majid mai farmaya – Emaan walo! Agle walo ke tarah tum par bhi roze farz kiye gaye hai taki uski barkato se tum muttki, parhezgaar ban jao. Is ka matlab yah huwa ki roze rakhne ka yah matlab nahi ki adimi khana-pina chhod de balki iske sath-sath ayese nek kaam bhi kare jiski badawlat wa barkat se wah parhezgaar ban jaye. Allah ki nafarmani se bachey, nek kaam karta rahe aur Allah se bhalayi ki aas rakhkhe.
Ramzan ki rato mai jag kar ibadad ka maza wa zaza hi kuch aur hai. Issi fazilat ko hashil kare ke liye is mahine ki rato mai talabih ki namaz ka ayehtmam kiya gaya aur hazrat-Umar-Farque-radi-Allaho-Anho ke jane se bakayeda Ja-mat se tarabih ada ki jane lagi. Is se yah Fayez aam huwa ki har khash-aam, padhe-likhkha aur andpad Ja-maat mai sharik ho kar tarabih ki barkate hashil karne ke layak ho gaya.
Takwa ki tawlat shirf khana-pina chhod dene se hi hasil nahi hoti balki badan ka ang-ang rozedaar hona chahiye. Akh, Kaan, Naak, hath, Pair, Dil sab ka roza ho. Unhe gunaho ke kaamo mai fasne se bachana hi asli roze ka maksad hai. Ayese pabandi karne par hi Adimi muttaki, parhezgaar ban sakega. Allah ayesi hi tawfik de. Ameen!!

Thursday, 1 August 2013

Ramdan Info



Kya Aap akele hi Eid manayenge?

Is baar aapki eid hamesha se zyada khoobsurat ho,
Aap ko Allah Paak ne daulat se nawaza hai,aap ke rupye to cigrette, cinema, aur aapki doosri aisi zarooraton me kharch ho rahe hain jo zaroori nahi hain,

Zara un ghareeb bachchon par bhi dhyaan den jinhe eid me kapda tak mayassar nahi hai, kya aap ek ki zindagi me bhi khushi nahi laa sakte, bas 300 rupiye hi to kharch honge, agar ham saare bhai ek ek ki bhi zimmedari lelete hain to un ghareeb bachchon ki zindagi me bahaar aa jayegi, aur Hamare Aaqa Hazrat Umar Radiallaho anh ki sunnat pe bhi amal ho jayega, saath hi Allah Rabbul Izzat is mubarak mahine me hui ghaltiyon ko bhi maaf farmadega,
To kya aap is post ko zyada se zyada logon ke beech share karne me meri madad karenge?

Kya aap akele Eid manayenge

By: Arif Ali

Wednesday, 31 July 2013

Quran Paak Info



  • A ILAHI Tuje "Tere MEHBOOB" ke NOOR ka wasta... Tuje "FATEMA" ki AZMAT ka wasta... Tuje "HASNAIN"ki SAHADAT ka wasta... Tuje "Abu Bakar" ki Sadakat ka wasta... Tuje "Umar" ki Adalat ka wasta... Tuje "Usman" ki Sakhawat ka wasta... Tuje "ALI" Ki Suja'at ka wasta... Tuje "Gaus" e Pak Ki Vilayat ka wasta... Tuje "Khwaja" ki Garib Nawazi ka wasta... Tuje "Aala Hazrat" k Ishq e RASOOL Ka Wasta... Tuje "Huzur Mufti E Azam" ki Saadgi ka Wasta.. Tamam Sunni Sahiul Musalmano ko nek Amal ki Tofiq De Bad Mazhabo Ki Sohbat se Bacha, Jaadu Bala Geebat Or Hasad Se Dur Rakh. Jo Be Aulaad hai unhe Nek aur sualeh Aulaad Ata Farma, Jo Be Rozgaar Hai Unke liye Gaib Se Halal Rizk Ke Darwaze khol de, Jo Barsar e Rozgaar hai Unko Halal rizk ata Farma Aafiyat ke sath, Jo Karz mein dobe hue hai Unke liye Sarkaar e Usmaan Gani ke Khazane se Gaib se asbaab paida kar unhe Karz se Najaat dila, YA Rabbana Ya Rabbana Ya Rabbana Hume tere Pyare Mehboob ki JAALIYO KI ZIYARAT NASEEB FARMA, HUME MAUT MADINE MEIN NASEEB FARMA YA ALLAH NABI E PAAK KE SADKE HUMARA MADFAN JANNATUL BAKI Mein HO, Humara Khatma Imaan par ho Hume Hamesha Maslak e Aala Hazrat pe Kayam Dayam Rakh na Hum Sub ko bakhsh De. Hum jo Mange Usse Siwa Ata Farma AAMEEN AAMEEN SUMMA AAMEEN!

Friday, 26 July 2013

Quran Paak Info

  • Conversation started today


  • A ILAHI Tuje "Tere MEHBOOB" ke NOOR ka wasta... Tuje "FATEMA" ki AZMAT ka wasta... Tuje "HASNAIN"ki SAHADAT ka wasta... Tuje "Abu Bakar" ki Sadakat ka wasta... Tuje "Umar" ki Adalat ka wasta... Tuje "Usman" ki Sakhawat ka wasta... Tuje "ALI" Ki Suja'at ka wasta... Tuje "Gaus" e Pak Ki Vilayat ka wasta... Tuje "Khwaja" ki Garib Nawazi ka wasta... Tuje "Aala Hazrat" k Ishq e RASOOL Ka Wasta... Tuje "Huzur Mufti E Azam" ki Saadgi ka Wasta.. Tamam Sunni Sahiul Musalmano ko nek Amal ki Tofiq De Bad Mazhabo Ki Sohbat se Bacha, Jaadu Bala Geebat Or Hasad Se Dur Rakh. Jo Be Aulaad hai unhe Nek aur sualeh Aulaad Ata Farma, Jo Be Rozgaar Hai Unke liye Gaib Se Halal Rizk Ke Darwaze khol de, Jo Barsar e Rozgaar hai Unko Halal rizk ata Farma Aafiyat ke sath, Jo Karz mein dobe hue hai Unke liye Sarkaar e Usmaan Gani ke Khazane se Gaib se asbaab paida kar unhe Karz se Najaat dila, YA Rabbana Ya Rabbana Ya Rabbana Hume tere Pyare Mehboob ki JAALIYO KI ZIYARAT NASEEB FARMA, HUME MAUT MADINE MEIN NASEEB FARMA YA ALLAH NABI E PAAK KE SADKE HUMARA MADFAN JANNATUL BAKI Mein HO, Humara Khatma Imaan par ho Hume Hamesha Maslak e Aala Hazrat pe Kayam Dayam Rakh na Hum Sub ko bakhsh De. Hum jo Mange Usse Siwa Ata Farma AAMEEN AAMEEN SUMMA AAMEEN!

Wednesday, 24 July 2013

Quran Paak Info

  • 7 Azeem Nekiyan Jo Allah Pasand karta hai
  • 1=Har kam se pehly, *Bismillah* padhne wala.
  • 2=Har kam k baad, *Alhamdollilah* khehne wala.
  • 3=Ghalti k bad *Astagh firullah* padhne wala.
  • 4=Mustqabil ki baat pe *Insha Allah* kehne wala.
  • 5=Naagawar baat pe *Lahoula Wala Quwwat” parhne wala.
  • 6=Takleef aur Museebat ya ksi ki Maut pe*Innalillahi wa Inna
  • ilaehi Rajeoon* kehne wala
  • 7=Har waqat Kalma padhne wala.


Tuesday, 23 July 2013

Quran Paak Info



QURAN PAAK MÉin"ALIF" 48872Baar aaya he"BA"11228"TA"1199"SA"1276"JEEM"3273"HA"973"KHA" 2416"DAAL" 5642"ZAAL" 4697"RA" 11793"ZA" 1590"SEEN" 5891"SHEEN" 2253"SwAD" 2013"ZwAD" 1607"TUA" 1274"ZUA" 842"AAEN" 92200"GhAEN" 2208"FA" 8499"QAAF" 6813"KAAF" 9522"LAAM" 3432"MEEM" 26535"NOON" 26560"WAO" 2556"HA" 1907"LAM ALEF" 3720"HAMZA" 4115"YAA" 25919 —