Gazal , Urdu Shayeri, Poetries Etc.

GAZALS .............. URDU SHAYERI.......... Shayeri...........Poetries................HAMD.............NAAT...............AFSAANE... Etc.

Saturday, 3 August 2013

Maa Baap ki khidmat Ramzan ki Fazilat aur Durud ki Ehmiyat ...



        Jumua ka din tha huzur(sallallaho alaihe wasallam) kutba padhane k liye mimber par gaye jaise hi  kadam pehle sidhi par rakhe kaha ameen phir dusri jine par rakha kaha ameen phir tisre jine par rakha  kaha ameen.

       Sahaba ne dekha tajjub kiya par bolne ki himmat na hui namaj k baad
 sahaba ne arz ki fidaka ummi wa abi ya rasulallah(sallallaho alaihe wasallam)  (yani mere maa baap  aap (sallallaho alaihe wasallam) par qurbaan) aaj apko khilafe maamool ameen kehte hue suna jabki hamari ankho ne kisiko na dekha na suna jo dua maange.

     Huzur(sallallaho alaihe wasallam) ne farmaya jab mai khutbe k liye gaya to jibrail(alaihissalam) aaye aur kaha halaq ho barbaad ho wo shaqs jiske samne aap(sallallaho alaihe wasallam) ka zikr ho aur wo durud na padhe  maine kaha ameen.

   phir mai jab aage badha to jibrail(alaihissalam) ne kaha halaq ho barbaad ho wo shaqs  jo maahe ramadhan paaye aur isme roze aur digar ibaadat karke apne rab ko raaji na kara paaye maine kaha ameen.

  phir jibrail(alaihissalam) ne kaha  halaq ho barbaad ho wo shaqs jo apne
maa baap  ya kisi ek ko budhape me paaye aur unki khidmat karke apni magfirat  na kara sake  maine kaha ameen.

jo dua  jibrail(alaihissalam) kare aur uspar huzur(sallallaho alaihe wasallam)  ameen kahe to us dua ka kya muqam hai aap samajh sakte hai

isme tin baate batai gai hai maa baap ki khidmat ramjan ki fazilat aur durud ki ahmiyat  qurane paak me hai apne maa baap ke samne unh(uff) tak naa karo. aur aaj log maa baap ko gaaliya dete hai chillate hai

 hadise paak me hai  huzur(sallallaho alaihe wasallam) ne sahabi ko farmaya apne maa baap se husne suluk se pesh aa unhone kaha agar maa baap zaalim ho to  huzur(sallallaho alaihe wasallam) ne farmaya agarche zaalim ho agarche  zaalim ho agarche zaalim ho 3 baar farmaya aur aaj log maa baap ki zara si baat ka bura maan jaate hai baat band kar dete hai ghar chod dete hai zulm to bahut dur ki baat hai


Hazrat Ali ( (Radiallahu Ta’ala Anhu)) ne farmaya har wo din tumhare liye eid ka din hai jis din tum apni  se muskarake baat kare * apni awaz ka zor us maa baap par na dikha jisne tujhe bolna sikhaya.

Durood shareef

Qurane paak me hai allah farmata hai beshak allah aur uske firishte durud
 bhejte hai us gaib batane wale nabi par ae imaan walo tum bhi  khub durudo  salam bheja karo

Hadise paak me hai  Aap(sallallaho alaihe wasallam) ne irshhad farmaya
bakheel hai wo shaqs jiske samne mera zikr ho aur wo mujh par durud
na padhe durude paak ki bahut barkate hai fazilate hai sirf ek suniye

 Aap (sallallaho alaihe wasallam) ne farmaya jisne mujhpar 1 martaba
 durud padha allah taala uspar 10 rehmate naazil farmata hai uske 10
 darzaat buland karta hai uske das gunaah mitata hai.

Ghamo ne jo tumko ghera hai to durud padho  hai haziri ki tamanna to durud padho  ye naam koi kaam bigadne nahi deta

Bigde bhi bana deta hai naame muhammad(sallallaho alaihe wasallam)

Ankho ka taara naame muhammad(sallallaho alaihe wasallam)

Dil ka ujala naame muhammad(sallallaho alaihe wasallam)

Daulat jo chaho dono jahan ki karlo wazifa naame muhammad(sallallaho alaihe wasallam) 

No comments:

Post a Comment