Gazal , Urdu Shayeri, Poetries Etc.

GAZALS .............. URDU SHAYERI.......... Shayeri...........Poetries................HAMD.............NAAT...............AFSAANE... Etc.

Friday, 2 August 2013

Ramza Ki Batin

Is Mubarak mahine ki ahemiyat ka andaza ham ussi waqt laga sakege jab pichle 11 mahine ki apni zindagi ki raat-din par nazar dale. Ayesa karne par hi hame andaza ho sakega ki hmare din kaise bĂȘte, hame kya – kya gunah kiye. Gunaho ka khayal ate hi emaan ka takaza, hamara zameer andar se awaz dega ki aye gafir insaan! Apni nadani se tune pichle mahino mai jo gunah kiya hain, unki mafi wa bakhshish ki fikar kar. Isse sath hi jab Allah ki taraf se ramzan aur unki barkate rab ka ayehesan ban kar hame damane murad bharne ke liye awaz de to zara sochiye ki hamari ruhani masarrat ka kya haal hoga.
Ramzan ki fazilat ka nadaza lagane ki liye agar aap Quran wa sunnat ki rawshni mai kuch malom karne ki koishish kare to pata chalega ki yahi wah Mubarak mahina hai jismai Allah paak ne apne bando ki hidayat wa rahenumayi ki liye Quran paak nazil faramaya. Is Mubarak mahine mai Allah paak apni rahemat wa zannat ke darwaze khol deta hai, janannam ke darwaze band kar diye jate hain.
Yah Mubarak mahina roze ke liye khash hai. Har balik mard-awrat par ramzan ke pure mahine ka roza farz hai. Roze ke bare mai Allah ne farmaya – roze mere liye hain aur iska badla bhi mai hi ata karoga. Roze farz farmane ka maksad bayan farmate huwe Allah paak ne Quran majid mai farmaya – Emaan walo! Agle walo ke tarah tum par bhi roze farz kiye gaye hai taki uski barkato se tum muttki, parhezgaar ban jao. Is ka matlab yah huwa ki roze rakhne ka yah matlab nahi ki adimi khana-pina chhod de balki iske sath-sath ayese nek kaam bhi kare jiski badawlat wa barkat se wah parhezgaar ban jaye. Allah ki nafarmani se bachey, nek kaam karta rahe aur Allah se bhalayi ki aas rakhkhe.
Ramzan ki rato mai jag kar ibadad ka maza wa zaza hi kuch aur hai. Issi fazilat ko hashil kare ke liye is mahine ki rato mai talabih ki namaz ka ayehtmam kiya gaya aur hazrat-Umar-Farque-radi-Allaho-Anho ke jane se bakayeda Ja-mat se tarabih ada ki jane lagi. Is se yah Fayez aam huwa ki har khash-aam, padhe-likhkha aur andpad Ja-maat mai sharik ho kar tarabih ki barkate hashil karne ke layak ho gaya.
Takwa ki tawlat shirf khana-pina chhod dene se hi hasil nahi hoti balki badan ka ang-ang rozedaar hona chahiye. Akh, Kaan, Naak, hath, Pair, Dil sab ka roza ho. Unhe gunaho ke kaamo mai fasne se bachana hi asli roze ka maksad hai. Ayese pabandi karne par hi Adimi muttaki, parhezgaar ban sakega. Allah ayesi hi tawfik de. Ameen!!

No comments:

Post a Comment